Tuesday, 8 March 2016

Specific Wallpapers



Aaqa (S.A) ne farmaya “ Mujh par Darood Pak parhne wale ko pul serat par azeem-us-shan noor ata hoga aur jis ko pul serat par noor ata hoga vo ahle dozakh se na hoga.




Aaqa (S.A) ne farmaya “Qeyamat kay din mere hoz e kosar par kuch goroh war hon gay jin ko mein inhein dunya mein darood pak ki kasrat se pehchanta hon ga.






Hazrat Anas bin Malik (R.A) se rawayat hai keh janab Rasool (S.A) ne farmaya “ Mujh par jo aik bar Darood Sharif parhe, Allah tala Darood Sharif parhne wale kay sans se aik sufaid abr paida fermata hai. Phir ise hokum deta hai keh ise barsa de jab barsata hai to zameen par girne wale har qatre se sona paida hota hai aur paharon par girne wale har qatre se chandi paida karta hai aur kafir par girne wale har qatre ki barkat se kafir ko iman nasib hota hia.”




Hazoor (S.A) ne farmaya” jis ne mujh par aik bar darood pak parha Allah tala is par das rehmatein bhejta hai aur is kay namah aamal mein das nekiyan likhta hai.(tarmidi)




Aaqa (S.A) ne farmaya “ Mujh par Darood Pak parho kiun keh mujh par Darood Pak parhna tumhare gunahon ka kuffarah hai aur tumhare batin ki taharat hai.




Aaqa (S.A) ne farmaya “ Tum apni majlison ko mujh par Darood Pak parh kar mazaiyan karo kiun keh tumhara mujh par Darood Pak parhna Qiyamat kay din tumhare liye noor hoga.





Hazrat Anas se rawayat hai keh Hazrat Muhammad (S.A) ka irshad hai keh “ jis ne mujh par din har mein hazar bar Darood Pak parha vo maray ga nahi jab tak vo jannat mein apni aaram gah na dekh le ga.

Syedena Aisha se rawayat hai keh Hazoor (S.A) ne farmaya” jis shakhs ko yeh baat pasand ho keh jab vo darbar ilahi mein hazir ho to Allah tala is par razi ho to ise chahiye keh mujh par darood pak ki kasrat kare”



Hazoor (S.A) ne farmaya “ Jab tum kisi cheez ko bhool jao to mujh par darood pak parho Insha Allah yaad aajaye gi.


Hazoor (S.A) ne farmaya “ jab do dost aaps mein milte hain aur vo musafah karte hain aur mujh par darood pak parhte hain to in donon kay juda hone se pehle pehle donon kay agle pichle gunah muaf kar diye jate hain.



Hazoor (S.A) ne farmaya “ jo jumah kay roz mujh par so martabah darood pak parhe jab Vo Qeyamat kay din aaye ga to is kay sath aisa noor hoga keh agar sari makhlooq mein taqseem kar dia jaye to sab par hawi ho.